Sunday, January 5, 2014

GHAZAL - 20140104 - 0040

Samar Yeh Thaa Mera Dilber Say Aashna'ee Ka
Tamam Umr Ka Qissa Raha Juda'ee Ka

Mubaada Dil Say Ko'ee Bud Dua Nikal Ja'ey
Na Ko'ee Naam Lay Ab Tujh Say Hum Nawa'ee Ka

Shikasta Dil HooN, Giriftaar e Sud Bala HooN Dost
Yahee To Waqt Hey Mauqa Hey Kaj Ada'ee Ka

Sitam Karey Ko'ee Bhugtaan MaiyN Bhugatta HuN
K Jaiysay MaiyN Naay Liya, Zimma Kul Khuda'ee Ka

Muqaddima Karo Qayam Saza Bhi Do LaiykiN
Zara Sa Mauqa Mujhay Bhi To Do Safa'ee Ka

Khuda Mila Na Sanam Hee Mila Mujhay Mohsin
Bohat Bura Hua Anjaam paar Sa'ee Ka

No comments:

Post a Comment