Thursday, April 17, 2014

NAZM - PACHTAWA - 20140417 - 0346 - 25

Suno iK Baat Kehna Hey
Qareeb aa O Meray Hamdam

Wo Hee iK Baat Jo Dil MaiyN Chubhi Heiy
Phaans Ki Manind
Aur iS Tarah Say Atki Ho Seenay MaiyN
Meray Hamdam
Jo Waqt e Naz'aa Laiyna Heiy, usi iK Saans Ki Manind

Suno Wo Baat Kehna Heiy

Agar Wo Baat Ho Jatee
To Kitna Faida Hota
Na Tum Mujh Say Khafa Rehtay
Na YuN Yeh Silsila Ho Ta

Magar Aiysa Bhi Ho Sakta Tha
Tum Yeh Baat Sun Laiytay
To Jaaney Kitnay Andeshay
Tum Apnay Dil MaiyN Bun Laiytay

Zara Si Baat Per Janey
Qayamat Kya KhaRi Hoti

Yahi Kuch Sochtata Rehta Tha Tum Say
Kuch Na Kehta Tha
HazaroN Waswasay Dil MaiyN Liye Baiytha Tha
Tum Say Kuch Na Kehta Tha

Wohi iK Baat Kehna Heiy

K MaiyN Nay Ab Na Ki To Mujhko Shayad
Waqt Ki Mohlat Na Mil Paa'ey
Hilana Bhi Agar ChahooN
ZubaN Shayed Na Hil Paey

Qareeb aa O Meray Hamdam
Mujhay Wo Baat Kehni Heiy

Muj... Jhay Wo.... Baa... aaa.... aa....... t...........

Ikhtetaam.

No comments:

Post a Comment