Aiyk Nazm mauzooN hu'ee haiy Election 2013 kay waqiyat kay pus manzar maiyN. MaiyN nay rotay rotay likhi haiy, aap rotay rotay paRh lijiye.
Mulk sudharnay ka aakhri mauqa na'ehl logoN ki na'ehli ki nazar honay wala haiy.
Dhamakey, Dhandli Ki is Faza
Hamaray Vote Ka Kya Fa'da Haiy
PuranoN Ko Milay Gee Phir Hukoomat
Ko'ee Chupkay Say aa ker Keh Gaya Haiy
Najanay Kitni SadyaN Chahiye HaiyN
Bananay MaiyN Jo Sub BigRa Hua Haiy
Bohat Um'meed This iS Baar Mujh Ko
Meri Um'meed Ka KhooN Ho Gaya
YahaN Ballot Jala'ey Jaa Rahey HaiyN
Meri AaNKhoN ko Yeh Bhi Dekhna Haiy
KaheeN Thappay HaiyN Jaali Aur KaheeN Per
Rigging Ka Shor-o-Wawaiyla Macha Haiy
Commission Haiy Election Ka, Wo Haiy Dhong
Presiding Officer Andha Chuna Haiy
Awam-un-Naas Dhoka Kha Ga'ee Phir
Sabhi Ka Vote, Khud Hi Dal Chuka Haiy
Na Ho Mohsin Agar Chori To Kya Ho
Muhafiz Ghar Ka Kab Say So Raha Haiy
No comments:
Post a Comment